APDCL Electricity Bill Kaise Pay Kre.

 


APDCL (Assam Power Distribution Company Limited) ek public sector company hai jo Assam mein bijli ki distribution aur transmission ka kaam karti hai. Ye company 2003 mein banayi gayi thi aur Assam State Electricity Board ki jagah li. APDCL ka main focus hai affordable aur reliable electricity supply ko provide karna apne consumers ko. Ye company apne services ko improve karne ke liye innovative technologies ka upyog karti hai. APDCL ka vision hai ek sustainable aur affordable electricity system develop karna Assam ke liye.

Lagbhag kuch dino pehle APDCL ne sabhi electric meters ko smart meter mai convert kia hai. Ab meters dhire dhire postpaid se prepaid mai badal dia ja rhe hai. Issi karan online apps ki madad se bill ka payment nhi ho pa rha hai. Gpay, Amazon ya Phonepe kisi bhi app se payment krne parr dikkat aa rhi hai. To aise mai payment kaise kre. iska asan tarikahai hai.

APDCL ke official website par jay, ya unke app ko download kre. Phle hm website ki baat krte hai.

Website mai aap ko "Recharge prepaid meter" ka option milljayga . Uspar click kre fir agle page par consumer number dale. Aap ko aap ke meter ka saara detail dikh jayga agar details shi hai to Mobile number amount and email fill kr k pay par click kre. Fir apni passandida payment option chose kre.

 

 

myBijulee App se payment krne k lia aap ko app mai log in ya register krna prega. App mai aap ak se adhik consumer number save kr k rakh sakte hai. App mai home page par hi prepaid recharge ka option mill jata hai. Recharge amount aur email de kr easily payment kr sakte hai.

Aga aap UPI payment mai problem face kr rhe hai to aap generate hua QR code jo  UPI payment ke doran generate hota hai uska screen shot le le. Fir use screen shot ko kisi bhi payment app dwara scan kr pay kr sakte hai. Dhyan rhe iss doran myBijulee app ko background mai chalne de use close na kre. App ke close hone se aap ka payment cancel ho sakta hai.


Tags

  1. APDCL bill payment methods
  2. Online payment of APDCL bill
  3.  APDCL bill payment through mobile apps
  4. Steps to pay APDCL bill online
  5. APDCL bill payment through credit/debit card
  6.  APDCL bill payment through net banking
  7.  APDCL bill payment through UPI

Comments